"Hum Buray Loog Hain"
Tum hi achay thy kisi se kabhi takraar na ki
tum k takrar ke khu-gr bhi na thy
tum hi achay thy
jo min-jumla e arbaab e nazr rehty thy
itnay saada thy k zakhmooN ko hina kehty thy
shehr e pur-hosla main
sheewah e ehl e hunr per kabhi tanqeed na ki
itnay be-bass thy k jab waqt paRa
apni bhi taa'eid na ki
Hum buray Loog hain sach kehty hain
hum buray log hain, khushnoodi e arbaab e asr ke baaghi
kabhi qatraay ko samandr na likha
kisi zarray ko bhi sehraa na kaha
qarz e aaina chukanay k liye aks se mehroom rahay
aur insaaN se muhabbat ka sila ?
ik saza yaafta mujrim ki tarha zinda rahay
0 Comments