idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh
iss sy pary bhi, jo hy, wo hy maavraa ka dukh
dil ne kaha, na dekh soo-e-aasma’N, keh yun
barhta hy na rasai-e-dast-e-dua ka dukh
dil mein ab aur kya hy, jisy dhoondti hy khalq
kafi hy zindagi ko, shikast-e-anaa ka dukh
sun lo musafaraan-e-biabaan-e-sham-e-gham
bakhshy ga ibtada ka safar, intaha ka dukh
kion inn dino’N sawar hy do kashtio’N pe dil
chahat ik ajnabi ke, to ik aashnaa ka dukh
MOHSIN khiza’N ka naam, badal kar likho issy
nayabi-e-nuqoosh-e-kharaam-e-saba ka dukh
0 Comments