Karobar e gham e duniya bhi nahin chootta hai
teri yadon ka tasalsul bhi nahin toot'ta hai
be-satooN harf e dua lab pe uthaaye rakhna
aasmaaN khak nasheenoN pe bohat toot'ta hai
jism aur rooh main hayl hai zameeN ki khushbu
warna aasaani se ye sath kahaN choot'ta hai
dab gai mal e ghaneemat hi main awaz e jaras
kon khaimooN se ye asbab e safr loot'ta hai
nafa'a e jaaN jisy hum day k bohut khush thay Saleem
ab ussi shaakh se mousam ka ziyaaN phoot'ta hai
0 Comments