kis ghaat utarna tha - poetry, decent poet, english, urdu poetry, shairi, urdu shairi, sms poetry, sad, emotional peotry, Allama Iqbal, love peotry,



 Kis ghaat utarna tha lab e joo nikal aaye
phir shaam hui dasht main aahoo nikal aaye


uRnay lagi deevar e qafz se koi tehreer
ya teray aseerooN k hi bazoo nikal aaye


is dar se main soya nahin neendooN k safr main
kab meray ta'aqub main wo khushboo nikal aaye


phir ad'l ki zanjeer hila di hai kisi ne
phir wada e farda pe tarazoo nikal aaye


Hum sab;r ki talqeen kiya kartay thay jis ko
ab ke usay dekha hai to aansoo nikal aaye


aankhoN se uljhnay laga phir johar e girya
is aalum e wehshat main agar too nikal aaye


aaye jo Saleem ab sir e fehrist sukhan hum
kuch hifz e maratib ke bhi pehloo nikal aaye

Post a Comment

0 Comments