Tere wajood se inkaar karnay wala tha
nazr na aata to main bhi mukrnay wala tha
mera hi naam na tha subhh ki faseelooN per
diyaar e shab se main tanha guzrnay wala tha
abhi se toR gaya silsila jarahat ka
abhi to zakhm e shanasaai bhrnay wala tha
jo dhoop cunta phira dupehr ki galiyooN se
wo shakhs apnay hi saaye se Darrny wala tha
kissay batain faraib e talab main kaar e junooN
chalay thy jis pe wo rsta bikhrnay wala tha
main saamnay ke hawaooN ko rook leta magr
mery aqab main jo dushman tha marnay wala tha
guzishata raat wo habs e teergi thi Saleem
ke jaisay koi saheefa utrnay wala tha
0 Comments