tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kaya maloom
terey chehray ke ye saada se achootay se naqoosh
mere takhayul ko kaya rang ata kartay hain
teri zulfain,
teri ankhain,
teray aariz,
teray hont
kaisi anjaan si masoom khata kartay hain
jalwat-e-bazm ho ya khalwat-e-tanhai ho
tera paikar meri ankhon main ubhar aata hai
tu koi saát ho, koi fikar ho koi mahool
mujh ko har simt tera husn nazar ata hai
chaltay chaltay jo qadam aap thithak jatay hain
sochta hoon k kahin tu nay pukara to nahin
gum si ho jati hain nazrain to khayal aata hai
is main pinhan teri ankhon ka ishara to nahin
dhoop main saaya bhi hota hai garaizan jis dam
teri zulfain meray shanon pe bikhar jatin hain
thak ke jab sir kisi pathar pe tika daita hoon
teri banhain mairi gardan main utar aati hain
ankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai
sar-e-baleen koi baitha hai bare payar ke saath
meray bikhray huway, uljhay huay baloon main koi
ungliyaan phairta jata hai bare payar ke saath
kis ko maloom meray khwaabon ki tabeer hai kya
kaun janay ke meray gham ki haqeeqat kya hai
main samajh loon bhi agar isko muhabat ka junoon
mujh ko is ishq-e-junoon khaiz se nisbat kya hai
tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kese ho maloom
teri zulfain,
teri ankhain,
teray aariz,
teray hont
kaisi anjaan si masoom khata kartay hain
0 Comments