Bus ik rasta hai ik awaz hai aur aik saya hai
ye kis ne aa k gehri neend se mjhko jagaya hai
bicharti aur milti sa'atooN k darmiyaN ik pal
yehi ik pal bachanay k liye sab kuch ganwaya hai
idhr ye dil abhi tak hai aseer e vehshat e sehra
udhr us aankh ne charooN taraf pehra bithaya hai
tumhain kaisay batain jhoot kya hai aur sach kya hai
na tum ne aaina dekha, na aaina dikhaya hai
hamain ik ism e aazam yaad hai wo sath hai, hum ne
kai baar aasmaN ko in zameenoN per bulaya hai
kahaN tak roktay aankhoN main abr o baad e hijraaN ko
ab aaye ho k jab ye shehr zair e aab aaya hai
Saleem ab tak kisi ko bad-dua di to nahin laikin
hamesha khush rahay jis ne hamra dil dukhaya hai
0 Comments